PayTm Payments Bank Ka ATM Card Kaise Activate Aur Order Kare | Saving Account, ATM Card - Know All Process - NRTrickHub

Latest Update

Tuesday, February 27, 2018

PayTm Payments Bank Ka ATM Card Kaise Activate Aur Order Kare | Saving Account, ATM Card - Know All Process

Paytm Payments Bank:
Paytm Paytm Bank India ka ek nya Bank hai jo Zero Balance Par Saving Account Open karta hai. Eske liye aapko sabse pahle apna KYC (Know You Customer) Process complete karna hoga. Eske liye Paytm ka Latest Version App hona chahiye, Agar nahi hai to app Play Store ya App Store se free me download kar sakte hai. KYC process me Adhar Card aur Pan Card(Optional) Dena hota hai hai. Taki aapka KYC process complete kia ja ske. KYC Process complete hone ke baad Ab aap apna Saving Account open kar sakte hai. Saving Account Open karte hi aapko Virtual Debit Card mil jayega jisase aap aasani se Online Transaction kar sakte hai. Agar aap Paytm Payments Bank ka use kar ke Money Transfer karte hai to Convenience fee Zero hai. Aapko Paytm Payments Bank ka Physical ATM card bhi mil jayega, agar aap Rs.120 pay karte hai to. ATM Card order karne ke 7-15 Days ki andar me aapka ATM Card India Post ke dwara aapke ghar tak aa jayega.
Paytm Payments Bank ko aap baki bank ki tarah use kar sakte hai.  
Paytm Payments Bank


Saving Account Kaise Khole:

  • Sabse Pahle aapke pass paytm account hona chahiye agar nahi hai to open kar le.
    • Eske liye aapko paytm app download karna hona Play Store or App Store
    • App download karne ke baad aapko apne mobile no se register karna hona
    • Register karte hi aapka Step 1 Done! hojayega
  • paytm par register karne ke baad aako "KYC (Know Your Customer)"  process complete karna hoga.
  • Eske liye aapko KYC tab me ja kar apne nearest KYC store locate kar sakte hai aur KYC process Complete kara sakte hai.
    Tap on KYC

    KYC Form
  • KYC complete karne ke baad. Ab aap "Saving Accoount" open kar sakte hai.
  • Jaise hi Aapka Saving Account open hoga aapko Account No. aur Virtual Debit Card (Platinum RuPay Debit Card) mil jayega.
  • Aapka Account No.  91-Registered Mobile hoga. e.g; 9178888XXXXX 
  • IFSC Code: PYTM012345 (Noida Branch - Gautam Budh Nagar)
  • IFSC Code: PYTM000001 (Noida Branch)

ATM Card ke Liye Kaise Apply Kare:

  • Uppar ke Steps complete karne ke baad ab aap Physical ATM card ke liye apply kar sakte hai
  • Sabse pahle paytm app ko latest version ke sath update kar le
  • Paytm app open kare 
  • Paytm App Open karne ke baad "Bank" wale tab par tap kare
    Bank
  • Uske baad aap "Debit & ATM Card" par tap kare
    Add Debit & ATM Card
  • Uske baad "Request Card" par tap kare
  • Physical ATM Card ke liye aapko Rs.120 pay karna hoga.
  • Pay karne ke 7-15 din ke andar aapka ATM aake Ghar par hoga.
  • Aapka Physical ATM Card "Indian Post" Ke dwara aayega jo ki aap apna samy samy par Shipping Detail Trace kar sakte ho.
  • Link for Post Tracking Details: Click Here

ATM Card ko Kaise Activate Kare:

  • Paytm Payments Bank se Post milne ke baad Aaram ke tear kare 
    Post
  • ATM Card Nikale 
  • Phir Apna Paytm App open kare 
  • Uske baad "Bank" wale tab par tap kare
  • Debit & ATM Card par tab kare 
  • Uske Baad "Activate Your Card" par tap kare. 
    Activate Your Card
  • Aapna 4 digit pass code enter kare jo aapne Manually Set kia tha.
  • Tap karne ke baad QR Code Scanner open ho jayega
  • ATM Card ke back side me aapko QR Code dikhega 
  • Use Scan kare , Scan karne ke baad Ab Aap Apna ATM PIN set kar sakte hai
Congratulations! Aapka ATM Card Activate hua aur aap kisi bhi ATM se Money Withdraw kar sakte hai.
Paytm Helpline no. 12038883888
Adhik Jankari ke liye Visit Kare : www.paytmbank.com/

1 comment: