Aadhar Se Mobile Number Link Kare Bs Ek OTP se | Dail 14546 - NRTrickHub

Latest Update

Friday, January 05, 2018

Aadhar Se Mobile Number Link Kare Bs Ek OTP se | Dail 14546

Jaisa ki aapko pta hai Indian Government ke nirdhesanusar Mobile Number Aadhar se Link karna anivarya(Compulsory) hai aur aapko ye jankar khushi hogi ki mobile number se aadhar link karne ki aakhri date 8th Feb. 2018 thi jo ki ab badhakar 31st March 2018 kar diya gya hai.

Mobile Number ko Aadhar se kaise link karna hai jante hai.
UIDAI ne Interactive Voice Response (IVR) services launch kiya hai jise re-verification ke name se jante hai. esme aapko ek toll free no. par call karna hoga aur Computerized nirdeso ka palan karna hoga.





Toll Free No. : 14546 (Airtel, Idea aur Vodafone).
  • airtel, idea aur Vodafone se 14546 dail kare.
  • Phir aapse bhasha choose karne ke liye puchha jayega (Apne anusar bhasha ka chunaw kare)
  • Phir aapse puchha jayega aap Indian ho ya NRI
  • Indian citizen 1 Press kare. NRI ke liye ye Facility abhi uplabhdh nahi hai.
  • Eske baad aapse 12 digit ka Aadhar No. puchha jayega.
  • Aap apna 12 digit ka Aadhar Number Enter kare
  • IVR System ke dwara aapka Aadhar Number repeat kar sunayega/gi
  • Agar esme kuchh galat hua to Nirdeso ko follow kar phir se enter kare 
  • Agar sahi hai to 1 Press kare
  • Eske baad Aapke Mobile par ek OTP aayega
  • Eske baad UIDAI, Telecom Database se aapka Details Verify karega.
  • Eske baad OTP enter karne ko puchha jayega. OTP enter kar ke 1 Press kare
  • Eske baad Aapse bola jayega Re-verification me 48hrs. lagega.
Eske Baad Aapka Number Aadhar se Link ho Gya....

1 comment: