Agar aap iOS user hai aur aap eske file transferring system se paresan hai to ye Article aapke liye hai. Es software ki help se app Music, Video, PDF aur baki ke Documents transfer kar sakte hai. Bina kisi iTunes login ke. Aap sirf ek click me file Copy, Paste kar sakte hai.
Requirements:
- Download Software from here - Click Here
- Download Karne ke baad iske setup file ko run kare.
- Installation sare process follow kare (Mujhe pta hai ye aap kar lenge)
- Install karne ke baad, es application ko run kare.
- Run karne ke baad aapse iTunes ke kuchh Plug-in install karne honge
- iTunes plug-in install kar le
- Sare required file successfully install karne ke baad ese run kare ( Aapko eska interface uppar ke image jaisa dikhega)
How to use:
- Sabse pahle apne iPhone ya iPad ko PC/Laptop ke sath connect kare.
- Simple aapko bs connect karna hai. connect kar ke iPhone/iPad ko side me rakh de
- Ab aap koi bhi option select kare jo perform karna chahte hai. (E.g; Music, Photo Transfer, Video Manager etc.)
- Ab aap wo file ya folder select kare jise aap Copy ya Paste karna chahte hai.
- Select karne ke bad Export par Click kare aapki sari files aapke External Hard Disk Me copy ho jayegi.
Aap Apna Location Change kar sakte hai apni marzi se.
Kuchh Steps Follow kar ke.
Click on Settings icon > Choose Path > Select Folder (Jaha Aap Copy ya Paste karna chahte hai.)
Watch Video for Full Tutorial
No comments:
Post a Comment